क़िस्मत बिगड़ी दुनिया बदली फिर कौन किसी का
क़िस्मत बिगड़ी दुनिया बदली फिर कौन किसी का होता है
ऐ दुनिया वालों सच तो कहो क्या प्यार भी झूठा होता है
क़िस्मत बिगड़ी दुनिया …
जब बुरा ज़माना आता है साया भी जुदा हो जाता है
वही दिल पर चोट लगाता है जो दिल को प्यारा होता है
क़िस्मत बिगड़ी दुनिया …
दुनिया में वफ़ा का नाम नहीं दुनिया को वफ़ा से काम नहीं
सब जिसको मोहब्बत कहते हैं नादान वो धोखा होता है
क़िस्मत बिगड़ी दुनिया …
तूफ़ान से कश्ती बच निकली साहिल पे पहुँचकर डूब गई
भगवान तुम्हारी दुनिया में अन्धेर ये कैसा होता है
क़िस्मत बिगड़ी दुनिया …
नेकी का नतीज़ा नेकी है अंजाम बुराई का है बुरा
क़ानून यही है क़ुदरत का कोई कुछ भी कहे क्या होता है
क़िस्मत बिगड़ी दुनिया …
qismat bigaṛī duniyā badlī phir kaun kisī kā hotā hai
ai duniyā vāloṅ sach to kaho kyā pyār bhī jhūṭhā hotā hai
qismat bigaṛī duniyā …
jab burā zamānā ātā hai sāyā bhī judā ho jātā hai
vahī dil par choṭ lagātā hai jo dil ko pyārā hotā hai
qismat bigaṛī duniyā …
duniyā meṅ vafā kā nām nahīṅ duniyā ko vafā se kām nahīṅ
sab jisko mohabbat kahte haiṅ nādān vo dhokhā hotā hai
qismat bigaṛī duniyā …
tūfān se kaśhtī bach niklī sāhil pe pahuṇchkar ḍūb gaī
bhagvān tumhārī duniyā meṅ andher ye kaisā hotā hai
qismat bigaṛī duniyā …
nekī kā natīzā nekī hai aṅjām burāī kā hai burā
qānūn yahī hai qudarat kā koī kuchh bhī kahe kyā hotā hai
qismat bigaṛī duniyā …