Qayaamat aaegee ek roz ... zulfon kaa rangeen saayaa hai

क़यामत आएगी एक रोज़ ... ज़ुल्फ़ों का रंगीं साया है
Work
Year
Language

क़यामत आएगी एक रोज़

ज़ुल्फ़ों का रंगीं साया है तौबा ख़ुदाया
तुम्हारी ये जवानी सलामत रहे
ज़ुल्फ़ों का रंगीं साया …

भीगी फ़िज़ाएं देखो चंचल हवाएं देखो
दिल की सदा है यही चुप ना रहो
जागे हैं अरमां मेरे मुखड़े पे गेसू तेरे
दिन है कि रात बोलो कुछ तो कहो
बोलो न बोलो हमसे कहेंगे ये तुमसे
तुम्हारी ये जवानी …

दुनिया में होंगे कई दिल को चुराने वाले
तुमसा न देखा कोई माह-ए-नक़ाब
दुनिया बनाने वाला तुझको बना के गोरी
रूप बनाना हाय भूल गया
तुम्हारा है ज़माना बना दो दीवाना
तुम्हारी ये जवानी …

हाय ये अदाएं तेरी तुझसे बहारें मेरी
ग़ुल भी पुकारे तुझे बाद-ए-सबा
बिगड़ी बनाना सीखो दिल को लगाना सीखो
ज़ुल्फ़ें बनाना छोड़ो जान-ए-वफ़ा
लबों पे सदा आएं हमारी दुआएं
तुम्हारी ये जवानी …

qayāmat āegī ek roz

zulfoṅ kā raṅgīṅ sāyā hai taubā khudāyā
tumhārī ye javānī salāmat rahe
zulfoṅ kā raṅgīṅ sāyā …

bhīgī fizāeṅ dekho chaṅchal havāeṅ dekho
dil kī sadā hai yahī chup nā raho
jāge haiṅ armāṅ mere mukhaṛe pe gesū tere
din hai ki rāt bolo kuchh to kaho
bolo na bolo hamse kaheṅge ye tumse
tumhārī ye javānī …

duniyā meṅ hoṅge kaī dil ko churāne vāle
tumsā na dekhā koī māh-e-naqāb
duniyā banāne vālā tujhko banā ke gorī
rūp banānā hāy bhūl gayā
tumhārā hai zamānā banā do dīvānā
tumhārī ye javānī …

hāy ye adāeṅ terī tujhse bahāreṅ merī
ġhul bhī pukāre tujhe bād-e-sabā
bigaṛī banānā sīkho dil ko lagānā sīkho
zulfeṅ banānā chhoṛo jān-e-vafā
laboṅ pe sadā āeṅ hamārī duāeṅ
tumhārī ye javānī …