Qaraar lootnevaale, qaraar ko tarse

क़रार लूटनेवाले, क़रार को तरसे
Work
Year
Language

क़रार लूटनेवाले, क़रार को तरसे
मेरी वफ़ा को, मेरे ऐतबार को तरसे

तू रोये रात की तनहाइयों में उठ उठ कर
तुझे क़रार न आये, क़रार को तरसे

ख़ुदा करे तेरा रंगीन शबाब उजड़ जाये
तेरी शराब-ए-जवानी, खुमार को तरसे

ख़ुदा करे तेरे दिल की कली कभी न खिले
बहार आए मगर तू बहार को तरसे

qarār lūṭnevāle, qarār ko tarse
merī vafā ko, mere aitbār ko tarse

tū roye rāt kī tanhāiyoṅ meṅ uṭh uṭh kar
tujhe qarār na āye, qarār ko tarse

khudā kare terā raṅgīn śhabāb ujaṛ jāye
terī śharāb-e-javānī, khumār ko tarse

khudā kare tere dil kī kalī kabhī na khile
bahār āe magar tū bahār ko tarse