Pyaase nainon kee pyaas bujhaa le

प्यासे नैनों की प्यास बुझा ले
Year
Language

प्यासे नैनों की प्यास बुझा ले
भोले-भाले ओ राही मतवाले

मैं तो खेतों से होकर आई रे
मोती शबनम के चुनकर लाई रे
मेरा मुखड़ा फुहार मेरे नयन कटार
इक बार करेजवा पे खा ले
प्यासे नैनों की …

मैं तो बरखा की अलबेली रानी
प्यासे दिल की ना जानूँ कहानी
चल बादल के पार लेके मन का सितार
कोई गीत ख़ुशी के गा ले
प्यासे नैनों की …

मैं तो नदिया की इक लहरिया
मोरी सबसे निराली डगरिया
मैं हूँ जलतरंग मेरा गोरा है रंग
मेरे मुखड़े से नैना हटा ले
प्यासे नैनों की …

pyāse nainoṅ kī pyās bujhā le
bhole-bhāle o rāhī matvāle

maiṅ to khetoṅ se hokar āī re
motī śhabnam ke chunkar lāī re
merā mukhaṛā phuhār mere nayan kaṭār
ik bār karejvā pe khā le
pyāse nainoṅ kī …

maiṅ to barkhā kī albelī rānī
pyāse dil kī nā jānūṇ kahānī
chal bādal ke pār leke man kā sitār
koī gīt khuśhī ke gā le
pyāse nainoṅ kī …

maiṅ to nadiyā kī ik lahriyā
morī sabse nirālī ḍagriyā
maiṅ hūṇ jaltaraṅg merā gorā hai raṅg
mere mukhaṛe se nainā haṭā le
pyāse nainoṅ kī …