Pyaar par bas to naheen hai meraa lekeen phir bhee

प्यार पर बस तो नहीं है मेरा लेकीन फिर भी
Year
Language

प्यार पर बस तो नहीं है मेरा लेकिन फिर भी
तू बता दे के तुझे प्यार करूँ या ना करूँ

मेरे ख्वाबों के झरोकों को सजानेवाली
तेरे ख्वाबों में कही मेरा गुजर है के नहीं
पूछकर अपनी निगाहों से बता दे मुझको
मेरी रातों के मुक़द्दर में सहर है के नहीं

कही ऐसा न हो पाँव मेरे थर्रा जाये
और तेरी मरमरी बाहों का सहारा न मिले
अश्क बहते रहें खामोश सियाह रातों में
और तेरे रेशमी आँचल का किनारा न मिले

pyār par bas to nahīṅ hai merā lekin phir bhī
tū batā de ke tujhe pyār karūṇ yā nā karūṇ

mere khvāboṅ ke jharokoṅ ko sajānevālī
tere khvāboṅ meṅ kahī merā gujar hai ke nahīṅ
pūchhkar apnī nigāhoṅ se batā de mujhko
merī rātoṅ ke muqaddar meṅ sahar hai ke nahīṅ

kahī aisā na ho pāṇv mere tharrā jāye
aur terī maramrī bāhoṅ kā sahārā na mile
aśhk bahte raheṅ khāmośh siyāh rātoṅ meṅ
aur tere reśhmī āṇchal kā kinārā na mile