Pyaar kee duniyaa lutegee hamen maaloom na thaa

प्यार की दुनिया लुटेगी हमें मालूम न था
Work
Year
Language

प्यार की दुनिया लुटेगी हमें मालूम न था
दिल की दिल ही में रहेगी हमें मालूम न था

हम तो समझे थे अँधेरा न कभी छाएगा
शमा जलते ही बुझेगी हमें मालूम न था

क्‌या क़यामत है कि डूबे तो किनारे होकर
उनकी नज़रों से गिरे जान से प्यारे होकर
क्‌या ख़बर थी वो दाग़ देंगे हमारे होकर
बेबसी हमपे हँसेगी हमें मालूम न था

उनको पाया था अदा उनकी क़सम मर-मर के
कर सके प्यार की बातें न मगर जी भर के
फिर गए हमसे वे इकरार-ए-मोहब्बत कर के
ये सज़ा हमको मिलेगी हमें मालूम न था

pyār kī duniyā luṭegī hameṅ mālūm na thā
dil kī dil hī meṅ rahegī hameṅ mālūm na thā

ham to samjhe the aṇdherā na kabhī chhāegā
śhamā jalte hī bujhegī hameṅ mālūm na thā

k‌yā qayāmat hai ki ḍūbe to kināre hokar
unkī nazroṅ se gire jān se pyāre hokar
k‌yā khabar thī vo dāġh deṅge hamāre hokar
bebsī hampe hṇsegī hameṅ mālūm na thā

unko pāyā thā adā unkī qasam mar-mar ke
kar sake pyār kī bāteṅ na magar jī bhar ke
phir gae hamse ve ikrār-e-mohabbat kar ke
ye sazā hamko milegī hameṅ mālūm na thā