Pyaar ke saagar se ... ek jhooth hai jiskaa duniyaa ne

प्यार के सागर से ... एक झूठ है जिसका दुनिया ने
Work
Year
Language

प्यार के सागर से निकली मोती के बदले रेत
अब पछताये क्‌या होये जब चिड़ियाँ चुग गईं खेत

एक झूठ है
एक झूठ है जिसका दुनिया ने
रखा है मुहब्बत नाम
अरे रखा है मुहब्बत नाम
धोखा है जिसे
धोखा है जिसे कहते हैं वफ़ा
बस देख लिया अन्जाम
अरे बस देख लिया अन्जाम

( पानी सी नज़र, पत्थर सा जिगर
बेदर्द तुझे पहचान गये ) -2
हम प्यार की नगरी में आ कर
दस्तूर यहाँ के जान गये
मिलती है ख़ुशी
मिलती है ख़ुशी दम भर के लिये
रोने को है सुबह-ओ-शाम -2
हाय बस देख लिया
बस देख लिया अन्जाम

( न पूछ हुआ जो हाल मेरा
एक तेरी नज़र के धोखे से ) -2
जैसे कोई जलता दीप बुझे
बस एक हवा के झोंखे से
दिल दे के हमें
दिल दे के हमें कुछ भी न मिला
बेकार हुये बदनाम
हाय बस देख लिया
बस देख लिया अन्जाम्

pyār ke sāgar se niklī motī ke badle ret
ab pachhtāye k‌yā hoye jab chiṛiyāṇ chug gaīṅ khet
o

ek jhūṭh hai
ek jhūṭh hai jiskā duniyā ne
rakhā hai muhabbat nām
are rakhā hai muhabbat nām
dhokhā hai jise
dhokhā hai jise kahte haiṅ vafā
bas dekh liyā anjām
are bas dekh liyā anjām

( pānī sī nazar, patthar sā jigar
bedard tujhe pahchān gaye ) -2
ham pyār kī nagrī meṅ ā kar
dastūr yahāṇ ke jān gaye
miltī hai khuśhī
miltī hai khuśhī dam bhar ke liye
rone ko hai subah-o-śhām -2
hāy bas dekh liyā
bas dekh liyā anjām

( na pūchh huā jo hāl merā
ek terī nazar ke dhokhe se ) -2
jaise koī jaltā dīp bujhe
bas ek havā ke jhoṅkhe se
dil de ke hameṅ
dil de ke hameṅ kuchh bhī na milā
bekār huye badnām
hāy bas dekh liyā
bas dekh liyā anjām