Pyaar karnevaale pyaar karte hain shaan se

प्यार करनेवाले प्यार करते हैं शान से
Work
Year
Language

प्यार करनेवाले, प्यार करते हैं शान से
जीते हैं शान से, मरते हैं शान से

लेते हैं किसी का जो नाम, उनको हज़ारो सलाम
कभी रुकते नहीं, कहीं झुकते नहीं, चाहे कुछ भी हो अंजाम
यार की गली से गुजरते हैं शान से

रस्ता नहीं आसान, देना पड़ता है इम्तिहान
ये है दिल की लगी, ये नहीं दिल्लगी, आते हैं कई तूफ़ांन
वो डूब के फिर उभरते हैं शान से

pyār karnevāle, pyār karte haiṅ śhān se
jīte haiṅ śhān se, marte haiṅ śhān se

lete haiṅ kisī kā jo nām, unko hazāro salām
kabhī rukte nahīṅ, kahīṅ jhukte nahīṅ, chāhe kuchh bhī ho aṅjām
yār kī galī se gujarte haiṅ śhān se

rastā nahīṅ āsān, denā paṛtā hai imtihān
ye hai dil kī lagī, ye nahīṅ dillgī, āte haiṅ kaī tūfāṅn
vo ḍūb ke phir ubharte haiṅ śhān se