Pyaar hai eeshvar pyaar tapasyaa ... dil ek mandir pyaar hai poojaa

प्यार है ईश्वर प्यार तपस्या ... दिल एक मन्दिर प्यार है पूजा
Year
Language

प्यार है ईश्वर प्यार तपस्या प्यार से संसार है
प्यार की जोत जलाने वाला इंसां भी अवतार है
दिल एक मन्दिर प्यार है पूजा
प्यार से बढ़ कर कोई न दूजा
ऐ मेरे हमसफ़र है ये सबको खबर
इनसे प्यारा ज़माने में कोई नहीं
दिल एक मन्दिर …

जग के सारे बन्धन झूठे सच्ची है इक प्रीत की डोरी
जिसने की हो प्रीत वो जाने क्‌यों चन्दा को चाहे चकोरी
प्रेम किया तो सब कुछ छूटा
प्यार से बढ़ कर …

उसकी दुनिया स्वर्ग बनी है जिसको मन का मीत मिला है
उसकी बात न पूछे कोई जिस पर प्रीत का रंग चढ़ा है
उस पे रंग चढ़े ना दूजा
प्यार से बढ़ कर …

pyār hai īśhvar pyār tapasyā pyār se saṅsār hai
pyār kī jot jalāne vālā iṅsāṅ bhī avtār hai
dil ek mandir pyār hai pūjā
pyār se baṛh kar koī na dūjā
ai mere hamasafar hai ye sabko khabar
inse pyārā zamāne meṅ koī nahīṅ
dil ek mandir …

jag ke sāre bandhan jhūṭhe sachchī hai ik prīt kī ḍorī
jisne kī ho prīt vo jāne k‌yoṅ chandā ko chāhe chakorī
prem kiyā to sab kuchh chhūṭā
pyār se baṛh kar …

uskī duniyā svarg banī hai jisko man kā mīt milā hai
uskī bāt na pūchhe koī jis par prīt kā raṅg chaṛhā hai
us pe raṅg chaṛhe nā dūjā
pyār se baṛh kar …