Preetam ye mat jaaniyo ... bheegee palken uthaa meree jaan

प्रीतम ये मत जानियो ... भीगी पलकें उठा मेरी जाँ
Work
Year
Language

ल: प्रीतम ये मत जानियो तोसे बिछुड़त मोहे चैन
जैसे बन की लाकड़ी सुलगत हूँ दिन-रैन

र: भीगी पलकें उठा मेरी जाँ ग़म ना कर
दिन जुदाई के ये भी गुज़र जाएँगे
ल: जब तलक़ तेरी बाँहें मिलेंगी मुझे
तब तलक़ ये गेसू बिखर जाएँगे
र: भीगी पलकें उठा …

ल: मेरे तन की कली ग़म से जल गाएगी
रंग उतर जाएगा धूप ढल जाएगी
र: आ पड़ी है कुछ ऐसी उलझन मगर
फिर भी तेरे दीवाने किधर जाएँगे
र: जब तलक़ तेरी बाँहें …

र: ज़िन्दगी है तो मिल ही रहेंगे गले
जा रही हैं बहारें तो जाने भी दो
ल: दो ही दिन तो मिले ज़िन्दगानी के दिन
क्‌या ये दो दिन भी यूँ ही गुज़र जाएँगे
र: भीगी पलकें उठा …

la: prītam ye mat jāniyo tose bichhuṛat mohe chain
jaise ban kī lākaṛī sulgat hūṇ din-rain

ra: bhīgī palkeṅ uṭhā merī jāṇ ġham nā kar
din judāī ke ye bhī guzar jāeṇge
la: jab talaq terī bāṇheṅ mileṅgī mujhe
tab talaq ye gesū bikhar jāeṇge
ra: bhīgī palkeṅ uṭhā …

la: mere tan kī kalī ġham se jal gāegī
raṅg utar jāegā dhūp ḍhal jāegī
ra: ā paṛī hai kuchh aisī uljhan magar
phir bhī tere dīvāne kidhar jāeṇge
ra: jab talaq terī bāṇheṅ …

ra: zindgī hai to mil hī raheṅge gale
jā rahī haiṅ bahāreṅ to jāne bhī do
la: do hī din to mile zindgānī ke din
k‌yā ye do din bhī yūṇ hī guzar jāeṇge
ra: bhīgī palkeṅ uṭhā …