Preetam se jaake kah de

प्रीतम से जाके कह दे
Year
Language

प्रीतम से जाके कह दे, ओ चन्दा,
तू प्रीत को निभाए जा

हर तरफ़ चान्दनी है
फैला है नूर तेरा
नैंनों में मेरे फिर भी
छाया है क्‌यूँ अन्धेरा

छाई वो शाम ग़म की
होता नहीं सवेरा
उजड़ी है दिल की बस्ती
तू आ कर फिर से उसे बसाए जा
प्रीतम से जाके कह दे

सुनता नहीं है कोई
किससे कहूँ कहानी
बिन तेरे जा रही है
बेकार ज़िन्दगानी

फ़रियाद कर रही है
सहमी हुई जवानी
तक़दीर सो रही है
तू आ जा, क़िसमत मेरी जगाए जा
प्रीतम से जाके कह दे

prītam se jāke kah de, o chandā,
tū prīt ko nibhāe jā

har taraf chāndnī hai
phailā hai nūr terā
naiṅnoṅ meṅ mere phir bhī
chhāyā hai k‌yūṇ andherā

chhāī vo śhām ġham kī
hotā nahīṅ saverā
ujaṛī hai dil kī bastī
tū ā kar phir se use basāe jā
prītam se jāke kah de

suntā nahīṅ hai koī
kisse kahūṇ kahānī
bin tere jā rahī hai
bekār zindgānī

fariyād kar rahī hai
sahmī huī javānī
taqdīr so rahī hai
tū ā jā, qismat merī jagāe jā
prītam se jāke kah de