Piyaa aise jiyaa men samaay gayo re

पिया ऐसे जिया में समाय गयो रे
Year
Language

पिया ऐसो जिया में समाय गयो रे
की मैं तन मन की सुध-बुध गवाँ बैठी
हर आहट पे समझी वो आय गयो रे
झट घूँघट में मुखड़ा छुपा बैठी

मोरे अंगना में जब पुरवैया चली
मोरे द्वारे की खुल गई किवड़िया
मैने जाना के आ गये सावरियाँ मोरे
झट फूलन की सजीया पे जा बैठी

मैने सेंदूर से माँग अपनी भरी
रूप सैयाँ के कारण सजाया
इस डर से के पी की नजर ना लगे
झट नैनन में कजरा लगा बैठी

piyā aiso jiyā meṅ samāy gayo re
kī maiṅ tan man kī sudh-budh gavāṇ baiṭhī
har āhaṭ pe samjhī vo āy gayo re
jhaṭ ghūṇghaṭ meṅ mukhaṛā chhupā baiṭhī

more aṅgnā meṅ jab purvaiyā chalī
more dvāre kī khul gaī kivaṛiyā
maine jānā ke ā gaye sāvriyāṇ more
jhaṭ phūlan kī sajīyā pe jā baiṭhī

maine seṅdūr se māṇg apnī bharī
rūp saiyāṇ ke kāraṇ sajāyā
is ḍar se ke pī kī najar nā lage
jhaṭ nainan meṅ kajrā lagā baiṭhī