Phir chhiree raat, baat phoolon kee

फिर छिड़ी रात, बात फूलों की
Work
Year
Language

म: (फिर छिड़ी रात, बात फूलों की
फ़: रात है या बारात फूलों की) -2

फ़: फूल के हैं फूल के गजरे -2
शाम फूलों की, रात फूलों की

म: आपका साथ-साथ फूलों का -2
आपकी बात बात फूलों की

फ़: फूल खिलते रहेंगे दुनिया में -2
रोज़ निकलेगी बात फूलों की

म: नज़रें मिलती हैं जाम मिलते हैं -2
मिल रही है हयात फूलों की

म/फ़: ये महकती हुई ग़ज़ल मख़दूं -2
जैसे सहरा में रात फूलों की

ma: (phir chhiṛī rāt, bāt phūloṅ kī
fa: rāt hai yā bārāt phūloṅ kī) -2

fa: phūl ke haiṅ phūl ke gajre -2
śhām phūloṅ kī, rāt phūloṅ kī

ma: āpkā sāth-sāth phūloṅ kā -2
āpkī bāt bāt phūloṅ kī

fa: phūl khilte raheṅge duniyā meṅ -2
roz niklegī bāt phūloṅ kī

ma: nazreṅ miltī haiṅ jām milte haiṅ -2
mil rahī hai hayāt phūloṅ kī

ma/fa: ye mahaktī huī ġhazal makhdūṅ -2
jaise sahrā meṅ rāt phūloṅ kī