Phir chhidee raat, baat phulon kee

फिर छिडी रात, बात फुलों की
Work
Year
Language

फिर छिड़ी रात बात फूलों की
रात है या बरात फूलों की

फुल के हार, फुल के गजरे
शाम फूलों की, रात फूलों की

आप का साथ, साथ फूलों का
आप की बात, बात फूलों की

फुल खिलते रहेंगे दुनिया में
रोज निकलेगी बात फूलों की

नज़रे मिलती हैं, जाम मिलते हैं
मिल रही है हयात फूलों की

ये महकती हुयी गज़ल मखदूम
जैसे सेहरा में रात फूलों की

phir chhiṛī rāt bāt phūloṅ kī
rāt hai yā barāt phūloṅ kī

phul ke hār, phul ke gajre
śhām phūloṅ kī, rāt phūloṅ kī

āp kā sāth, sāth phūloṅ kā
āp kī bāt, bāt phūloṅ kī

phul khilte raheṅge duniyā meṅ
roj niklegī bāt phūloṅ kī

nazre miltī haiṅ, jām milte haiṅ
mil rahī hai hayāt phūloṅ kī

ye mahaktī huyī gazal makhdūm
jaise sehrā meṅ rāt phūloṅ kī