Pee ke ghar aaj pyaari dulhniyaa chalee

पी के घर आज प्यारि दुल्हनिया चली
Year
Language

पी के घर आज प्यारी दुल्हनिया चली
रोएं माता पिता उनकी दुनिया चली

भैया बहना के दिल को लगी ठेस रे
मेरी क़िस्मत में जाता था परदेस रे
छोड़ कर अपने बाबुल का आँगन चली
पी के घर आज प्यारी दुल्हनिया चली

भैया बाबा ने सुख मोहे सारे दिए
मोरे गौने में चाँद और सितारे दिए
साथ ले कर मैं सारा गगनदी चली
पी के घर आज प्यारी दुल्हनिया चली

कोई गुण ढंग न मुझ में कोई बात है
मोरी चूड़ियों की लाज अब तोरे हाथ है
तोरे संग मैं जीवन भर को सजना चली
पी के घर आज प्यारी दुल्हनिया चली

pī ke ghar āj pyārī dulhniyā chalī
roeṅ mātā pitā unkī duniyā chalī

bhaiyā bahnā ke dil ko lagī ṭhes re
merī qismat meṅ jātā thā pardes re
chhoṛ kar apne bābul kā āṇgan chalī
pī ke ghar āj pyārī dulhniyā chalī

bhaiyā bābā ne sukh mohe sāre die
more gaune meṅ chāṇd aur sitāre die
sāth le kar maiṅ sārā gagandī chalī
pī ke ghar āj pyārī dulhniyā chalī

koī guṇ ḍhaṅg na mujh meṅ koī bāt hai
morī chūṛiyoṅ kī lāj ab tore hāth hai
tore saṅg maiṅ jīvan bhar ko sajnā chalī
pī ke ghar āj pyārī dulhniyā chalī