Pate kee baat kahegaa kahegaa jab bhee deevaanaa

पते की बात कहेगा कहेगा जब भी दीवाना
Work
Year
Language

पते की बात कहेगा कहेगा जब भी दीवाना
मेरी सूरत पे ना जाना
पते की बात कहेगा …

वहाँ कुछ देर है प्यारे नहीं अंधेर है प्यारे
जो तुझको न दिखाई दे नज़र का फेर है प्यारे
तू बहकावे में न आना है उसका सब जग जाना
मेरी सूरत पे ना …

चार के आठ तू कर ले आठ से साठ तू कर ले
रहेगा फिर भी ये खाली पेट को लाख तू भर ले
सीख ले मन को मनाना सबर से काम चलाना
मेरी सूरत पे ना …

जो न तलवार से होगा वो पल में प्यार से होगा
न कर पाएँगे जो लाखों वो एक दिलदार से होगा
सभी से प्यार निभाना है अपना चलन पुराना
मेरी सूरत पे ना …

pate kī bāt kahegā kahegā jab bhī dīvānā
merī sūrat pe nā jānā
pate kī bāt kahegā …

vahāṇ kuchh der hai pyāre nahīṅ aṅdher hai pyāre
jo tujhko na dikhāī de nazar kā pher hai pyāre
tū bahkāve meṅ na ānā hai uskā sab jag jānā
merī sūrat pe nā …

chār ke āṭh tū kar le āṭh se sāṭh tū kar le
rahegā phir bhī ye khālī peṭ ko lākh tū bhar le
sīkh le man ko manānā sabar se kām chalānā
merī sūrat pe nā …

jo na talvār se hogā vo pal meṅ pyār se hogā
na kar pāeṇge jo lākhoṅ vo ek dildār se hogā
sabhī se pyār nibhānā hai apnā chalan purānā
merī sūrat pe nā …