Pare ishq men jaan ke hamko laale

पड़े इश्क़ में जान के हमको लाले
Year
Language

( पड़े इश्क़ में जान के हमको लाले
ख़ुदा इम्तिहाँ में किसी को ना डाले ) -2

ये रुकते न रोके न टलते हैं टाले -2
कोई किस तरह आँसुओं को सम्भाले

ख़ुदा इम्तिहाँ में किसी को ना डाले
पड़े इश्क़ में जान के हमको लाले
ख़ुदा इम्तिहाँ में किसी को ना डाले

वही बेबसी है वही नामुरादी -2
ना काम आई आँहें न काम आये नाले

ख़ुदा इम्तिहाँ में किसी को ना डाले
पड़े इश्क़ में जान के हमको लाले
ख़ुदा इम्तिहाँ में किसी को ना डाले

( paṛe iśhq meṅ jān ke hamko lāle
khudā imtihāṇ meṅ kisī ko nā ḍāle ) -2

ye rukte na roke na ṭalte haiṅ ṭāle -2
koī kis tarah āṇsuoṅ ko sambhāle

khudā imtihāṇ meṅ kisī ko nā ḍāle
paṛe iśhq meṅ jān ke hamko lāle
khudā imtihāṇ meṅ kisī ko nā ḍāle

vahī bebsī hai vahī nāmurādī -2
nā kām āī āṇheṅ na kām āye nāle

khudā imtihāṇ meṅ kisī ko nā ḍāle
paṛe iśhq meṅ jān ke hamko lāle
khudā imtihāṇ meṅ kisī ko nā ḍāle