Pardesee piyaa tose laagaa jiyaa chale aanaa hiyaa men dheere-dheere

परदेसी पिया तोसे लागा जिया चले आना हिया में धीरे-धीरे
Work
Year
Language

परदेसी -2
परदेसी पिया तोसे लागा जिया
चले आना हिया में धीरे-धीरे -2

आते आकाश पे जो छुपके से तारे -2
आते जो बाग़ों में फूल प्यारे-प्यारे -2
वैसे ही मेरे मन में धीमे ही धीमे
चले आना सजन धीरे-धीरे
परदेसी पिया तोसे लागा जिया
चले आना हिया में धीरे-धीरे -2

जैसे नैनों पे
जैसे नैनों पे नींद भरी पलकें गिरें -2
मुखड़े पे घूँघर वाली ज़ुल्फ़ें गिरें -2
वैसे मेरी धड़कन में सूने आँगन में
चले आना सजन धीरे-धीरे
परदेसी पिया तोसे लागा जिया
चले आना हिया में धीरे-धीरे -2

बीना
बीना पे जैसे थिरकती है रागनी
हाँ-हाँ रागनी
लहरों पे जैसे चमकती है चाँदनी
हाँ-हाँ चाँदनी
मीठी-मीठी चाहों में दबी-दबी आहों में
चले आना सजन धीरे-धीरे
हाँ ओ चले आना बलम धीरे-धीरे

परदेसी पिया तोसे लागा जिया
चले आना हिया में धीरे-धीरे -2

pardesī -2
pardesī piyā tose lāgā jiyā
chale ānā hiyā meṅ dhīre-dhīre -2

āte ākāśh pe jo chhupke se tāre -2
āte jo bāġhoṅ meṅ phūl pyāre-pyāre -2
vaise hī mere man meṅ dhīme hī dhīme
chale ānā sajan dhīre-dhīre
pardesī piyā tose lāgā jiyā
chale ānā hiyā meṅ dhīre-dhīre -2

jaise nainoṅ pe
jaise nainoṅ pe nīṅd bharī palkeṅ gireṅ -2
mukhaṛe pe ghūṇghar vālī zulfeṅ gireṅ -2
vaise merī dhaṛkan meṅ sūne āṇgan meṅ
chale ānā sajan dhīre-dhīre
pardesī piyā tose lāgā jiyā
chale ānā hiyā meṅ dhīre-dhīre -2

bīnā
bīnā pe jaise thiraktī hai rāgnī
hāṇ-hāṇ rāgnī
lahroṅ pe jaise chamaktī hai chāṇdnī
hāṇ-hāṇ chāṇdnī
mīṭhī-mīṭhī chāhoṅ meṅ dabī-dabī āhoṅ meṅ
chale ānā sajan dhīre-dhīre
hāṇ o chale ānā balam dhīre-dhīre

pardesī piyā tose lāgā jiyā
chale ānā hiyā meṅ dhīre-dhīre -2