Palkon mein aao kho jao na

पलकों में आओ खो जाओ ना
Work
Year
Language

पलकों में आओ खो जाओ ना
ज़ुल्फ़ों में आ के सो जाओ ना
मुझको मुझी से चुराओ ना
मेरी जां मेरी जां मेरी जां

साँसों में मेरी छुप जाओ ना
बाहों में मेरी रुक जाओ ना
धीरे धीरे मुझमें समाओ ना
मेरी जां मेरी जां मेरी जां

माथे पे बिंदिया है बिंदिया में तू ही तू
आँखों में निंदिया थी अब इनमें रहता है तू

ओ दिल मेरा है मगर धड़कनें हैं तेरी
जाने ये प्यार की कैसी है जादूगरी
मेरी जां मेरी जां
पलकों में आओ …

आसमां ले चलो रुत जवां ले चलो
प्यार ही प्यार हो मुझको वहाँ ले चलो
ओ ज़िंदगी में तेरी ये नज़ारे भरूं
मैं तेरी मांग में आ चाँद तारे भरूं
मेरी जां मेरी जां
पलकों में आओ …

palkoṅ meṅ āo kho jāo nā
zulfoṅ meṅ ā ke so jāo nā
mujhko mujhī se churāo nā
merī jāṅ merī jāṅ merī jāṅ

sāṇsoṅ meṅ merī chhup jāo nā
bāhoṅ meṅ merī ruk jāo nā
dhīre dhīre mujhmeṅ samāo nā
merī jāṅ merī jāṅ merī jāṅ

māthe pe biṅdiyā hai biṅdiyā meṅ tū hī tū
āṇkhoṅ meṅ niṅdiyā thī ab inmeṅ rahtā hai tū

o dil merā hai magar dhaṛakneṅ haiṅ terī
jāne ye pyār kī kaisī hai jādūgrī
merī jāṅ merī jāṅ
palkoṅ meṅ āo …

āsmāṅ le chalo rut javāṅ le chalo
pyār hī pyār ho mujhko vahāṇ le chalo
o ziṅdgī meṅ terī ye nazāre bharūṅ
maiṅ terī māṅg meṅ ā chāṇd tāre bharūṅ
merī jāṅ merī jāṅ
palkoṅ meṅ āo …