Pal pal dil ke paas, tum rahtee ho

पल पल दिल के पास, तुम रहती हो
Work
Year
Language

पल पल दिल के पास तुम रहती हो
जीवन मीठी प्यास ये कहती हो

हर शाम आँखोंपर, तेरा आँचल लहराये
हर रात यादोंकी बारात ले आये
मैं सांस लेता हूँ, तेरी खुशबू आती है
एक महका महका सा पैगाम लाती है
मेरे दिलकी धड़कन भी तेरे गीत गाती है

कल तुझको देखा था, मैंने अपने आँगन में
जैसे कह रही थी तुम, मुझे बांध लो बंधन में
यह कैसा रिश्ता है, यह कैसे सपने हैं
बेगाने हो कर भी क्यों लगते अपने है
मैं सोच में रहता हूँ, डर डर के कहता हूँ

तुम सोचोगी क्यों इतना मैं तुमसे प्यार करू
तुम समझोगी दीवाना, मैं भी इकरार करू
दीवानोकी ये बातें, दीवाने जानते हैं
जलने में क्या मजा है, परवाने जानते हैं
तुम यूँ ही जलाते रहना आ आकर ख्वाबों में

pal pal dil ke pās tum rahtī ho
jīvan mīṭhī pyās ye kahtī ho

har śhām āṇkhoṅpar, terā āṇchal lahrāye
har rāt yādoṅkī bārāt le āye
maiṅ sāṅs letā hūṇ, terī khuśhbū ātī hai
ek mahkā mahkā sā paigām lātī hai
mere dilkī dhaṛkan bhī tere gīt gātī hai

kal tujhko dekhā thā, maiṅne apne āṇgan meṅ
jaise kah rahī thī tum, mujhe bāṅdh lo baṅdhan meṅ
yah kaisā riśhtā hai, yah kaise sapne haiṅ
begāne ho kar bhī kyoṅ lagte apne hai
maiṅ soch meṅ rahtā hūṇ, ḍar ḍar ke kahtā hūṇ

tum sochogī kyoṅ itnā maiṅ tumse pyār karū
tum samjhogī dīvānā, maiṅ bhī ikrār karū
dīvānokī ye bāteṅ, dīvāne jānte haiṅ
jalne meṅ kyā majā hai, parvāne jānte haiṅ
tum yūṇ hī jalāte rahnā ā ākar khvāboṅ meṅ