Pal bhar hee kee pahchaan men pardesee sanam se

पल भर ही की पहचान में परदेसी सनम से
Work
Year
Language

पल भर ही की पहचान में परदेसी सनम से
लगता है कि हम जानते हों जनम जनम से

निगाहें चौंकी दिल किसी दूसरी दुनिया में खो गया
किसे देखा है कि ज़िंदगी से मुझे प्यार हो गया
किस ने महका दिया है आ के राहों को मेरी
राहों के भाग जाग गये किस के कदम से
लगता है कि …

किसी जीवन में सही तुम से मेरी प्रीत रही
जो प्रीत भूल गये आज लगते हैं नये
अहसान है क़िसमत का मिला आँसु-ए-ग़म से
लगता है कि …

ज़रा शरमाना और मुस्काना है निशानी प्यार की
बिना बोले ही नैन कह देते हैं कहानी प्यार की
जिस ने दिल हार दिया उस ने जग जीत लिया
दिल दे मिला क्‌या न कहा जायेगा हम से
लगता है कि …

pal bhar hī kī pahchān meṅ pardesī sanam se
lagtā hai ki ham jānte hoṅ janam janam se

nigāheṅ chauṅkī dil kisī dūsrī duniyā meṅ kho gayā
kise dekhā hai ki ziṅdgī se mujhe pyār ho gayā
kis ne mahkā diyā hai ā ke rāhoṅ ko merī
rāhoṅ ke bhāg jāg gaye kis ke kadam se
lagtā hai ki …

kisī jīvan meṅ sahī tum se merī prīt rahī
jo prīt bhūl gaye āj lagte haiṅ naye
ahsān hai qismat kā milā āṇsu-e-ġham se
lagtā hai ki …

zarā śharmānā aur muskānā hai niśhānī pyār kī
binā bole hī nain kah dete haiṅ kahānī pyār kī
jis ne dil hār diyā us ne jag jīt liyā
dil de milā k‌yā na kahā jāyegā ham se
lagtā hai ki …