Pahle jo mohabbat se inkaar kiyaa hotaa

पहले जो मोहब्बत से इन्कार किया होता
Work
Year
Language

पहले जो मोहब्बत से इन्कार किया होता
यूं हमको ना दुनिया से बेज़ार किया होता

अब तेरे सिवा कोई आँखों में नहीं रहता
दो रोज़ तो परदों में गुलज़ार किया होता
पहले जो मोहब्बत से …

मालूम अगर होता अंजाम मोहब्बत का
ना दिल ही दिया होता ना प्यार किया होता
पहले जो मोहब्बत से …

मैं तेरी हूँ मैं तेरी, कानों मेरे कहना
और भाग के दुनिया से आँखों में मेरी रहना
इतना जो समझते हम, चुपके से तेरा (?)
ना दिल ही दिया होता ना प्यार किया होता
पहले जो मोहब्बत से …

pahle jo mohabbat se inkār kiyā hotā
yūṅ hamko nā duniyā se bezār kiyā hotā

ab tere sivā koī āṇkhoṅ meṅ nahīṅ rahtā
do roz to pardoṅ meṅ gulazār kiyā hotā
pahle jo mohabbat se …

mālūm agar hotā aṅjām mohabbat kā
nā dil hī diyā hotā nā pyār kiyā hotā
pahle jo mohabbat se …

maiṅ terī hūṇ maiṅ terī, kānoṅ mere kahnā
aur bhāg ke duniyā se āṇkhoṅ meṅ merī rahnā
itnā jo samajhte ham, chupke se terā (?)
nā dil hī diyā hotā nā pyār kiyā hotā
pahle jo mohabbat se …