Oonchee oonchee duniyaa kee deevaaren sainyaa tor ke

ऊँची ऊँची दुनिया की दीवारें सैंया तोड़ के
Work
Year
Language

( ऊँची ऊँची दुनिया की दीवारें सैंया तोड़ के जी तोड़ के
मैं आई रे तेरे लिए सारा जग छोड़ के ) -2

यार मिला दिलदार मिला मुझे एक नया संसार मिला
झूमती बहार आई दिल को क़रार मिला -2
जाने न दूँगी मुख मोड़ के जी मोड़ के
मैं आई रे तेरे लिए …

रात नई हर बात नई है तारों की बारात नई -2
इक नई दुनिया में हुई मुलाक़ात नई -2
जाने न दूँगी मुख मोड़ के जी मोड़ के
मैं आई रे तेरे लिए …

( ūṇchī ūṇchī duniyā kī dīvāreṅ saiṅyā toṛ ke jī toṛ ke
maiṅ āī re tere lie sārā jag chhoṛ ke ) -2

yār milā dildār milā mujhe ek nayā saṅsār milā
jhūmtī bahār āī dil ko qarār milā -2
jāne na dūṇgī mukh moṛ ke jī moṛ ke
maiṅ āī re tere lie …

rāt naī har bāt naī hai tāroṅ kī bārāt naī -2
ik naī duniyā meṅ huī mulāqāt naī -2
jāne na dūṇgī mukh moṛ ke jī moṛ ke
maiṅ āī re tere lie …