Oh re taal mile nadee ke jal men

ओह रे ताल मिले नदी के जल में
Year
Language

ओह रे ताल मिले नदी के जल में
नदी मिले सागर में
सागर मिले कौन से जल में
कोई जाने ना
ओह रे ताल मिले नदी के जल में …

अन्जाने होंठों पर ये (पहचाने गीत हैं - 2)
कल तक जो बेगाने थे जनमों के मीत हैं
ओ मितवा रे ए ए ए कल तक …
क्‌या होगा कौन से पल में
कोई जाने ना
ओह रे ताल मिले नदी के जल में …

सूरज को धरती तरसे (धरती को चंद्रमा - 2)
पानी में सीप जैसे प्यासी हर आतमा
ओ मितवा रे ए ए ए ए पानी में …
बूंद छुपी किस बादल में
कोई जाने ना
ओह रे ताल मिले नदी के जल में …

oh re tāl mile nadī ke jal meṅ
nadī mile sāgar meṅ
sāgar mile kaun se jal meṅ
koī jāne nā
oh re tāl mile nadī ke jal meṅ …

anjāne hoṅṭhoṅ par ye (pahchāne gīt haiṅ - 2)
kal tak jo begāne the janmoṅ ke mīt haiṅ
o mitvā re e e e kal tak …
k‌yā hogā kaun se pal meṅ
koī jāne nā
oh re tāl mile nadī ke jal meṅ …

sūraj ko dhartī tarse (dhartī ko chaṅdrmā - 2)
pānī meṅ sīp jaise pyāsī har ātmā
o mitvā re e e e e pānī meṅ …
būṅd chhupī kis bādal meṅ
koī jāne nā
oh re tāl mile nadī ke jal meṅ …