O taaraa teraa-meraa naheen guzaaraa

ओ तारा तेरा-मेरा नहीं गुज़ारा
Work
Year
Language

कि: ओ तारा तेरा-मेरा नहीं गुज़ारा -2
तू ठहरी घरवाली मैं ठहरा बन्जारा
ल: प्यारा तेरा प्यार है मुझको प्यारा
तेरे लिए घरबार तो क्‌या मैं छोड़ दूँ ये जग सारा

कि: मेला दुनिया दो रोज़ का मेला
ओ आता-जाता यौवन जैसे पानी का इक रेला
ल: मेला दुनिया दो रोज़ का मेला
थाम ले बैंया मेले में अरे काहे फिरे अकेला

धोखा मेरे साथ हुआ वे ये धोखा -2
मेरा घूँघट खोल गया बेईमान पवन का झोंका
कि: झोंका मैं होता काश वो झोंका
मेरे हाथ से निकल गया है एक सुनहरा मौक़ा

बादल तेरी आँख का जैसे काजल -2
धक-धक मन को लेके छम-छम बाजे तेरी पायल
ल: आँचल हट छोड़ दे मेरा आँचल
सच कहते हैं प्रेमी होते हैं थोड़े से पागल

चोटी मेरी दो गज लम्बी चोटी -2
बाबुल को समझाओ कोई अब मेरी उमर नहीं छोटी
कि: मोती मत बरसा आँख से मोती
ये सबको मालूम है मैं हूँ दीपक तू है ज्योति

रानी सुन अपनी प्रेम कहानी -2
हमको समझाने को आई ये दुनिया दीवानी
ल: जानी ये दुनिया नहीं जानी
दिल की आग बुझा न पाए सारे जग का पानी

न्यारा मैं करती तुझे इशारा
सामने मेरी खिड़की के जो होता तेरा चौबारा
कि: ओ तारा क्‌या खिड़की क्‌या चौबारा
तोड़ के सब दीवारें इक दिन होगा मिलन हमारा

ki: o tārā terā-merā nahīṅ guzārā -2
tū ṭhahrī gharvālī maiṅ ṭhahrā banjārā
la: pyārā terā pyār hai mujhko pyārā
tere lie gharbār to k‌yā maiṅ chhoṛ dūṇ ye jag sārā

ki: melā duniyā do roz kā melā
o ātā-jātā yauvan jaise pānī kā ik relā
la: melā duniyā do roz kā melā
thām le baiṅyā mele meṅ are kāhe phire akelā

dhokhā mere sāth huā ve ye dhokhā -2
merā ghūṇghaṭ khol gayā beīmān pavan kā jhoṅkā
ki: jhoṅkā maiṅ hotā kāśh vo jhoṅkā
mere hāth se nikal gayā hai ek sunahrā mauqā

bādal terī āṇkh kā jaise kājal -2
dhak-dhak man ko leke chham-chham bāje terī pāyal
la: āṇchal haṭ chhoṛ de merā āṇchal
sach kahte haiṅ premī hote haiṅ thoṛe se pāgal

choṭī merī do gaj lambī choṭī -2
bābul ko samjhāo koī ab merī umar nahīṅ chhoṭī
ki: motī mat barsā āṇkh se motī
ye sabko mālūm hai maiṅ hūṇ dīpak tū hai jyoti

rānī sun apnī prem kahānī -2
hamko samjhāne ko āī ye duniyā dīvānī
la: jānī ye duniyā nahīṅ jānī
dil kī āg bujhā na pāe sāre jag kā pānī

nyārā maiṅ kartī tujhe iśhārā
sāmne merī khiṛkī ke jo hotā terā chaubārā
ki: o tārā k‌yā khiṛkī k‌yā chaubārā
toṛ ke sab dīvāreṅ ik din hogā milan hamārā