O shamaa mujhe phoonk de ... parvaane jaa hai ajab chalan

ओ शमा मुझे फूंक दे ... परवाने जा है अजब चलन्
Work
Year
Language

मु: ओ शमा मुझे फूंक दे
मैं न मैं रहूँ तू न तू रहे
यही इश्क़ का है दस्तूर -2
ल: परवाने जा है अजब चलन
यहाँ जीते जी अपना मिलन
क़िस्मत को नहीं मंजूर -2

शाम से लेकर रोज़ सहर तक तेरे लिए मैं सारी रात जली
मैने तो हाय ये भी न जाना कब दिन डूबा कब रात ढली
फिर भी हैं मिलने से मजबूर -2
मु: ओ शमा मुझे …

पत्थर दिल हैं ये जगवाले जाने न कोई मेरे दिल की जलन -2
जब से है जनमी प्यार की दुनिया तुझको है मेरी मुझे तेरी लगन
तुम बिन ये दुनिया है बेनूर -2
ल: परवाने जा है …

मु: हाय री क़िस्मत अंधी क़िस्मत देख सकी ना तेरी-मेरी ख़ुशी
ल: हाय री उल्फ़त बेबस उल्फ़त रो के थकी जल-जल के मरी
दो: दिल जो मिले किसका था क़सूर -2
मु: ओ शमा मुझे …
ल: परवाने जा है …

mu: o śhamā mujhe phūṅk de
maiṅ na maiṅ rahūṇ tū na tū rahe
yahī iśhq kā hai dastūr -2
la: parvāne jā hai ajab chalan
yahāṇ jīte jī apnā milan
qismat ko nahīṅ maṅjūr -2

śhām se lekar roz sahar tak tere lie maiṅ sārī rāt jalī
maine to hāy ye bhī na jānā kab din ḍūbā kab rāt ḍhalī
phir bhī haiṅ milne se majbūr -2
mu: o śhamā mujhe …

patthar dil haiṅ ye jagvāle jāne na koī mere dil kī jalan -2
jab se hai janmī pyār kī duniyā tujhko hai merī mujhe terī lagan
tum bin ye duniyā hai benūr -2
la: parvāne jā hai …

mu: hāy rī qismat aṅdhī qismat dekh sakī nā terī-merī khuśhī
la: hāy rī ulfat bebas ulfat ro ke thakī jal-jal ke marī
do: dil jo mile kiskā thā qasūr -2
mu: o śhamā mujhe …
la: parvāne jā hai …