O saathiyaa saare sahaare toot jaaen

ओ साथिया सारे सहारे टूट जाएँ
Work
Year
Language

ओ साथिया -2
सारे सहारे टूट जाएँ रूठ जाएँ लोग हमसे क्‌या हुआ
तेरा सहारा हूँ मैं मेरा सहारा है तू
तेरा सहारा हूँ मैं
ओ साथिया …

इक दूजे के हो जाएँ इक दूजे में खो जाएँ -2
महलों से अच्छी गलियाँ चल अपने घर जाएँ
हो आ थाम ले तू मेरी बाँहें सब निगाहें फेर लें तो क्‌या हुआ
प्यार की धारा हूँ मैं मेरा किनारा है तू
प्यार की धारा हूँ मैं
ओ साथिया …

जीना है हम जी लेंगे ज़ख़्मों को भी सी लेंगे -2
आया जो प्यासा सावन अपने आँसू पी लेंगे
ओ बन जाएँ काँटे फूल सारे ये नज़ारे डूब जाएँ क्‌या हुआ
तेरी नज़र हूँ मैं मेरा नज़ारा है तू
तेरी नज़र हूँ मैं
ओ साथिया …

o sāthiyā -2
sāre sahāre ṭūṭ jāeṇ rūṭh jāeṇ log hamse k‌yā huā
terā sahārā hūṇ maiṅ merā sahārā hai tū
terā sahārā hūṇ maiṅ
o sāthiyā …

ik dūje ke ho jāeṇ ik dūje meṅ kho jāeṇ -2
mahloṅ se achchhī galiyāṇ chal apne ghar jāeṇ
ho ā thām le tū merī bāṇheṅ sab nigāheṅ pher leṅ to k‌yā huā
pyār kī dhārā hūṇ maiṅ merā kinārā hai tū
pyār kī dhārā hūṇ maiṅ
o sāthiyā …

jīnā hai ham jī leṅge zakhmoṅ ko bhī sī leṅge -2
āyā jo pyāsā sāvan apne āṇsū pī leṅge
o ban jāeṇ kāṇṭe phūl sāre ye nazāre ḍūb jāeṇ k‌yā huā
terī nazar hūṇ maiṅ merā nazārā hai tū
terī nazar hūṇ maiṅ
o sāthiyā …