O kanhaiyaa aaj aanaa khvaab men

ओ कन्हैया आज आना ख़्वाब में
Work
Year
Language

ल: ओ कन्हैया ओ कन्हैया आज आना ख़्वाब में
अपनी राधा को गले से तू लगाना ख़्वाब में
को: ओ कन्हैया …

ल: नैन हमारे तेरा मंदिर और ये दिल आरती
को: और ये दिल आरती
ल: ले गई है दिल हमारा तेरी सूरत साँवरी
को: तेरी सूरत साँवरी
ल: कह रही है गुनगुनाकर मन की कोयल बावरी
को: मन की कोयल बावरी
ल: ओ कन्हैया …

ल: जब सुहानी शाम आए याद आए शाम की
को: याद आए शाम की
ल: जप रही हूँ प्रेम माला मैं तुम्हारे नाम की
को: मैं तुम्हारे नाम की
ल: तुम नहीं मेरी व्याकुल ज़िन्दगी किस काम की
को: ओ कन्हैया …

ल: आज पलकों के झरोखों मैं बुला लूँगी तुझे
को: मैं बुला लूँगी तुझे
ल: दिल के सिंहासन पे मोहन मैं बिठा लूँगी तुझे
को: मैं बिठा लूँगी तुझे
ल: दोनों आँखें मींच लूँगी और छुपा लूँगी तुझे
ल: ओ कन्हैया …

la: o kanhaiyā o kanhaiyā āj ānā khvāb meṅ
apnī rādhā ko gale se tū lagānā khvāb meṅ
ko: o kanhaiyā …

la: nain hamāre terā maṅdir aur ye dil ārtī
ko: aur ye dil ārtī
la: le gaī hai dil hamārā terī sūrat sāṇvrī
ko: terī sūrat sāṇvrī
la: kah rahī hai gungunākar man kī koyal bāvrī
ko: man kī koyal bāvrī
la: o kanhaiyā …

la: jab suhānī śhām āe yād āe śhām kī
ko: yād āe śhām kī
la: jap rahī hūṇ prem mālā maiṅ tumhāre nām kī
ko: maiṅ tumhāre nām kī
la: tum nahīṅ merī vyākul zindgī kis kām kī
ko: o kanhaiyā …

la: āj palkoṅ ke jharokhoṅ maiṅ bulā lūṇgī tujhe
ko: maiṅ bulā lūṇgī tujhe
la: dil ke siṅhāsan pe mohan maiṅ biṭhā lūṇgī tujhe
ko: maiṅ biṭhā lūṇgī tujhe
la: donoṅ āṇkheṅ mīṅch lūṇgī aur chhupā lūṇgī tujhe
la: o kanhaiyā …