O jaane vaale hamko bhool na jaanaa

ओ जाने वाले हमको भूल न जाना
Work
Year
Language

श: ओ जाने वाले
ओ जाने वाले हमको भूल न जाना -2
मु: हमको भूल न जाना

श: चाँद हमारे चले संग तेरे संग ही लेकर आना
ओ जाने वाले हमको …
मु: हमको भूल न जाना

श: चैन हमारा लूट चला क्‌यूँ
मु: मन का छाला फूट पड़ा क्‌यूँ
श: तेरा आना-जाना साजन साँस का आना-जाना
श: वफ़ा आजमाने को …
ओ जाने वाले हमको …
मु: हमको भूल न जाना

जीवन है ये तेरे दम से
कैसे कटेगी तुझ बिन हमसे
श: जैसे रूठी क़िस्मत हमसे तू भी रूठ न जाना
ओ जाने वाले हमको …
मु: हमको भूल न जाना

śha: o jāne vāle
o jāne vāle hamko bhūl na jānā -2
mu: hamko bhūl na jānā

śha: chāṇd hamāre chale saṅg tere saṅg hī lekar ānā
o jāne vāle hamko …
mu: hamko bhūl na jānā

śha: chain hamārā lūṭ chalā k‌yūṇ
mu: man kā chhālā phūṭ paṛā k‌yūṇ
śha: terā ānā-jānā sājan sāṇs kā ānā-jānā
śha: vafā ājmāne ko …
o jāne vāle hamko …
mu: hamko bhūl na jānā

jīvan hai ye tere dam se
kaise kaṭegī tujh bin hamse
śha: jaise rūṭhī qismat hamse tū bhī rūṭh na jānā
o jāne vāle hamko …
mu: hamko bhūl na jānā