O dil na lagaanaa ... jeene na degaa ye zamaanaa

ओ दिल न लगाना ... जीने न देगा ये ज़माना
Work
Year
Language

ओ दिल न लगाना -2
जीने न देगा ये ज़माना
ओ दिल न लगाना …

कहता रहा दिल सुनते रहे हम दास्तान-ए-ग़म
तेरी मुहब्बत में सहते रहे हम लाखों सितम
बन गया एक फ़साना
ओ दिल न लगाना …

उठती जवानी में दिल जो लगाए चैन न पाए
दिल जा के पहलू से वापस न आए हाय रे हाय
पीछे पड़े है पछताना
ओ दिल न लगाना …

मिल न सके हाय दो दिल बेचारे क़िस्मत के मारे
याद आ रहे हैं जो दिन गुज़ारे साथ तुम्हारे
हाय वो गुज़रा ज़माना
ओ दिल न लगाना …

o dil na lagānā -2
jīne na degā ye zamānā
o dil na lagānā …

kahtā rahā dil sunte rahe ham dāstān-e-ġham
terī muhabbat meṅ sahte rahe ham lākhoṅ sitam
ban gayā ek fasānā
o dil na lagānā …

uṭhtī javānī meṅ dil jo lagāe chain na pāe
dil jā ke pahlū se vāpas na āe hāy re hāy
pīchhe paṛe hai pachhtānā
o dil na lagānā …

mil na sake hāy do dil bechāre qismat ke māre
yād ā rahe haiṅ jo din guzāre sāth tumhāre
hāy vo guzrā zamānā
o dil na lagānā …