O chhupne vaale ab teree ... o dilvaale ham teree galee

ओ छुपने वाले अब तेरी ... ओ दिलवाले हम तेरी गली
Work
Year
Language

ओ छुपने वाले अब तेरी चिलमन की ख़ैर हो
दिलवाले आ गए तेरे दामन की ख़ैर हो

ओ दिलवाले हम तेरी गली तक आ पहुँचे -2

एक आवारा बने हुए टूटा तारा बने हुए -2
नहीं जिनके ठिकाने जो हैं सबसे बेगाने
वही तेरे दीवाने हाँ वही
ओ दिलवाले हम …

शहरों-शहरों फिरते हुए पहुँचे उठते-गिरते हुए
लेके शाम-ओ-सहर तेरा दर्द-ए-जिगर
लिए फिरते थे दर-ब-दर हाँ वही
ओ दिलवाले हम …

साथी को साथ लिए हाथों में हाथ लिए
राहों में गुल खिलाते झूमते गुनगुनाते
तेरी नज़रों के दीवाने हाँ वही
ओ दिलवाले हम …

तेरे दर तक आ ही गए आख़िर तुझको पा ही गए
जिनके घायल हैं दिल जिनका तू है क़ातिल
जिनसे बचना है मुश्किल हाँ वही
ओ दिलवाले हम …

o chhupne vāle ab terī chilman kī khair ho
dilvāle ā gae tere dāman kī khair ho

o dilvāle ham terī galī tak ā pahuṇche -2

ek āvārā bane hue ṭūṭā tārā bane hue -2
nahīṅ jinke ṭhikāne jo haiṅ sabse begāne
vahī tere dīvāne hāṇ vahī
o dilvāle ham …

śhahroṅ-śhahroṅ phirte hue pahuṇche uṭhte-girte hue
leke śhām-o-sahar terā dard-e-jigar
lie phirte the dar-ba-dar hāṇ vahī
o dilvāle ham …

sāthī ko sāth lie hāthoṅ meṅ hāth lie
rāhoṅ meṅ gul khilāte jhūmte gungunāte
terī nazroṅ ke dīvāne hāṇ vahī
o dilvāle ham …

tere dar tak ā hī gae ākhir tujhko pā hī gae
jinke ghāyal haiṅ dil jinkā tū hai qātil
jinse bachnā hai muśhkil hāṇ vahī
o dilvāle ham …