O bhangiyon ke raajaa meraa nanhaa saa dil

ओ भंगियों के राजा मेरा नन्हा सा दिल्
Year
Language

ओ भंगियों के राजा
मेरा नन्हा सा दिल बहला जा

ओ भंगियों की रानी
तोरे बिन रूठी है मोसे जवानी

तुझसे बिछड़ कर ओ मेरे राजा फूट गई तक़दीर
यहाँ कहाँ हैं सेठ के घर की पकी पकाई खीर

रूठ गई झाड़ू मुझसे रूठ गई कोठरिया
कोई बहाना करके आजा भंगिन की छोकरिया

इतने दिन से ख़त न आया धड़के छाती मोरी
किसी पर आ न गई हो छैला कहीं तबीयत तोरी

सुना है तेरे देस में गोरी बाँके छैल छबीले
किसी को घायल न कर दें यह तेरे नैन कटीले

जब मैं कोई छैला देखूँ दिल मेरा भर आए
जब पापी मुड़ कर देखे तेरी याद सताए

o bhaṅgiyoṅ ke rājā
merā nanhā sā dil bahlā jā

o bhaṅgiyoṅ kī rānī
tore bin rūṭhī hai mose javānī

tujhse bichhaṛ kar o mere rājā phūṭ gaī taqdīr
yahāṇ kahāṇ haiṅ seṭh ke ghar kī pakī pakāī khīr

rūṭh gaī jhāṛū mujhse rūṭh gaī koṭhriyā
koī bahānā karke ājā bhaṅgin kī chhokriyā

itne din se khat na āyā dhaṛke chhātī morī
kisī par ā na gaī ho chhailā kahīṅ tabīyat torī

sunā hai tere des meṅ gorī bāṇke chhail chhabīle
kisī ko ghāyal na kar deṅ yah tere nain kaṭīle

jab maiṅ koī chhailā dekhūṇ dil merā bhar āe
jab pāpī muṛ kar dekhe terī yād satāe