O baalam tere pyaar kee thandee aag men jalte jalte

ओ बालम तेरे प्यार की ठंडी आग में जलते जलते
Year
Language

ओ बालम तेरे प्यार की ठंडी आग में जलते जलते
मैं तो हार गई रे

ओ लूट लिया दिल तूने मेरा राह में चलते चलते
नैना मार गई रे

मैं हूँ बावरिया तेरी सावरिया, दिल से जाना ना
आज मिली हो जैसे अकेली कल भी चली आना
चंदा और सूरज की तरह रोज़ निकलते ढलते
मैं तो हार गई रे

डाल के जादू रूप का तूने दिल मेरा है छीना
प्रीतम तूने प्रीत जगा दी छेड़ के मन की बीना
नैनों में भरके प्यार का कजरा अंखियां मलते मलते
नैना मार गई रे

o bālam tere pyār kī ṭhaṅḍī āg meṅ jalte jalte
maiṅ to hār gaī re

o lūṭ liyā dil tūne merā rāh meṅ chalte chalte
nainā mār gaī re

maiṅ hūṇ bāvriyā terī sāvriyā, dil se jānā nā
āj milī ho jaise akelī kal bhī chalī ānā
chaṅdā aur sūraj kī tarah roz nikalte ḍhalte
maiṅ to hār gaī re

ḍāl ke jādū rūp kā tūne dil merā hai chhīnā
prītam tūne prīt jagā dī chheṛ ke man kī bīnā
nainoṅ meṅ bharke pyār kā kajrā aṅkhiyāṅ malte malte
nainā mār gaī re