O baaboo o laalaa, mausam dekho chalaa

ओ बाबू ओ लाला, मौसम देखो चला
Year
Language

ओ बाबू ओ लाला,
मौसम देखो चला
सुन ले दिल क्‌या बोला,
है कोई प्यार करने वाला
ओ बाबू ओ लाला …

खोयी खोयी रुत है
कुछ बहकी कुछ बहकाई
महफ़िल की महफ़िल है
तन्हायी की तन्हायी
आजा मिटा दें फ़ासला
ओ बाबू ओ लाला …

सुन जा क्‌या कहती हैं
ये भीगी भीगी रातें
साथी बन जा मेरा
कर लें दो मीठी बातें
मुझसे निगाहें तो मिला
ओ बाबू ओ लाला …

o bābū o lālā,
mausam dekho chalā
sun le dil k‌yā bolā,
hai koī pyār karne vālā
o bābū o lālā …

khoyī khoyī rut hai
kuchh bahkī kuchh bahkāī
mahafil kī mahafil hai
tanhāyī kī tanhāyī
ājā miṭā deṅ fāslā
o bābū o lālā …

sun jā k‌yā kahtī haiṅ
ye bhīgī bhīgī rāteṅ
sāthī ban jā merā
kar leṅ do mīṭhī bāteṅ
mujhse nigāheṅ to milā
o bābū o lālā …