O anmol pyaar bin mol bike

ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके
Work
Year
Language

ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके -2
इस दुनिया के बाज़ार में -2
ओ इन्सान और ईमान बिके -2
इस दुनिया के बाज़ार में -2
ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके

खिलते ही इस फुलवारी में
प्यार की कलियाँ जल जाती हैं -2
दिल की दिल में रह जाती है
चाँदनी रातें ढल जाती हैं -2
कितने ही सन्सार उजड़ जाते हैं इस सन्सार में -2
इस दुनिया के बाज़ार में
ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके

दिन के उजाले में भी कोई
हमको लूट के चल देता है -2
प्यार भरा अरमान भरा ये
दिल पैरों से कुचल देता है -2
चमन हमारी उम्मीदों के सूखे भरी बहार में -2
इस दुनिया के बाज़ार में
ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके

धन दौलत के दूध पे हमने
पाप के साँप को पलते देखा -2
उलटी रीत कि इस दुनिया में
सुबह को सूरज ढलते देखा -2
बोल यही इन्साफ़ है क्‌या मालिक तेरे दरबार में -2
इस दुनिया के बाज़ार में
ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके
इस दुनिया के बाज़ार में -2
ओ अनमोल प्यार बिन मोल बिके

o anmol pyār bin mol bike -2
is duniyā ke bāzār meṅ -2
o insān aur īmān bike -2
is duniyā ke bāzār meṅ -2
o anmol pyār bin mol bike

khilte hī is phulvārī meṅ
pyār kī kaliyāṇ jal jātī haiṅ -2
dil kī dil meṅ rah jātī hai
chāṇdnī rāteṅ ḍhal jātī haiṅ -2
kitne hī sansār ujaṛ jāte haiṅ is sansār meṅ -2
is duniyā ke bāzār meṅ
o anmol pyār bin mol bike

din ke ujāle meṅ bhī koī
hamko lūṭ ke chal detā hai -2
pyār bharā armān bharā ye
dil pairoṅ se kuchal detā hai -2
chaman hamārī ummīdoṅ ke sūkhe bharī bahār meṅ -2
is duniyā ke bāzār meṅ
o anmol pyār bin mol bike

dhan daulat ke dūdh pe hamne
pāp ke sāṇp ko palte dekhā -2
ulṭī rīt ki is duniyā meṅ
subah ko sūraj ḍhalte dekhā -2
bol yahī insāf hai k‌yā mālik tere darbār meṅ -2
is duniyā ke bāzār meṅ
o anmol pyār bin mol bike
is duniyā ke bāzār meṅ -2
o anmol pyār bin mol bike