निकले थे कहाँ जाने के लिये
निकले थे कहाँ जाने के लिये, पहुंचे है कहाँ मालूम नहीं
अब अपने भटकते क़दमों को, मंजिल का निशान मालूम नहीं
हमने भी कभी इस गुल्शन में, एक ख्वाब-ए-बहार देखा था
कब फूल झरे, कब गर्द उड़ी, कब आई खिज़ां मालूम नहीं
दिल शोला-ए-ग़म से खाक हुआ, या आग लगी अरमानों में
क्या चीज़ जली क्यूं सीने से उठा है धुआं मालूम नहीं
बरबाद वफ़ा का अफ़साना हम किसे कहें और कैसे कहें
खामोश हैं लब और दुनिया को अश्कों की ज़ुबां मालूम नहीं
nikle the kahāṇ jāne ke liye, pahuṅche hai kahāṇ mālūm nahīṅ
ab apne bhaṭakte qadmoṅ ko, maṅjil kā niśhān mālūm nahīṅ
hamne bhī kabhī is gulśhan meṅ, ek khvāb-e-bahār dekhā thā
kab phūl jhare, kab gard uṛī, kab āī khizāṅ mālūm nahīṅ
dil śholā-e-ġham se khāk huā, yā āg lagī armānoṅ meṅ
kyā chīz jalī kyūṅ sīne se uṭhā hai dhuāṅ mālūm nahīṅ
barbād vafā kā afsānā ham kise kaheṅ aur kaise kaheṅ
khāmośh haiṅ lab aur duniyā ko aśhkoṅ kī zubāṅ mālūm nahīṅ