निगाहों से शर्त-ए-वफ़ा लीजिएगा
निगाहों से शर्त-ए-वफ़ा लीजिएगा
इशारों से दिल में बुला लीजिएगा
मुहब्बत को उल्फ़त बना लीजिएगा
मेरी चाहतों को छुपा लीजिएगा
यह महफ़िल है रंगीं-मिज़ाजों की बस्ती
यहाँ दामन-ए-दिल बचा लीजिएगा
शराब-ए-मुहब्बत से भर-भर के साग़र
लगी आग दिल की बुझा लीजिएगा
जवानी की मस्ती भरी शोख़ियों में
मेरी हसरतें भी छुपा लीजिएगा
मेरी जान है और मुहब्बत की दुनिया
बता दीजिए आप क्या लीजिएगा
nigāhoṅ se śhart-e-vafā lījiegā
iśhāroṅ se dil meṅ bulā lījiegā
muhabbat ko ulfat banā lījiegā
merī chāhtoṅ ko chhupā lījiegā
yah mahafil hai raṅgīṅ-mizājoṅ kī bastī
yahāṇ dāman-e-dil bachā lījiegā
śharāb-e-muhabbat se bhar-bhar ke sāġhar
lagī āg dil kī bujhā lījiegā
javānī kī mastī bharī śhokhiyoṅ meṅ
merī hasarteṅ bhī chhupā lījiegā
merī jān hai aur muhabbat kī duniyā
batā dījie āp kyā lījiegā