निगाहें क्यों मिलाई थीं अगर यूँ छोड़ जाना था
निगाहें क्यों मिलाई थीं अगर यूँ छोड़ जाना था -2
उम्मीदें क्यूँ जगाई थीं -2
अगर दिल को जलाना था
ख़ुशीइ माँगी थी हमने ग़म से दामन भर दिया तूने -2
अरे ओ जाने वाले -2
हाय ये क्या कर दिया तूने
मुहब्बत की क़सम हमने तुझे ऐसा न जाना था
निगाहें क्यों मिलाई थीं अगर यूँ छोड़ जाना था
चले आवो तुम्हें इस दिल की आहें याद करती हैं -2
जो सूनी हो गईं तुम बिन वो राहें याद करती हैं
मिले क्यूँ थे अगर मिलना बिछड़ने का बहाना था
निगाहें क्यों मिलाई थीं अगर यूँ छोड़ जाना था
उम्मीदें क्यूँ जगाई थीं -2
अगर दिल को जलाना था
nigāheṅ kyoṅ milāī thīṅ agar yūṇ chhoṛ jānā thā -2
ummīdeṅ kyūṇ jagāī thīṅ -2
agar dil ko jalānā thā
khuśhīi māṇgī thī hamne ġham se dāman bhar diyā tūne -2
are o jāne vāle -2
hāy ye kyā kar diyā tūne
muhabbat kī qasam hamne tujhe aisā na jānā thā
nigāheṅ kyoṅ milāī thīṅ agar yūṇ chhoṛ jānā thā
chale āvo tumheṅ is dil kī āheṅ yād kartī haiṅ -2
jo sūnī ho gaīṅ tum bin vo rāheṅ yād kartī haiṅ
mile kyūṇ the agar milnā bichhaṛne kā bahānā thā
nigāheṅ kyoṅ milāī thīṅ agar yūṇ chhoṛ jānā thā
ummīdeṅ kyūṇ jagāī thīṅ -2
agar dil ko jalānā thā