Nazron men samaane se qaraar

नज़रों में समाने से क़रार्
Year
Language

आ आ आऽऽऽऽऽऽऽऽ
नज़रों में समाने से क़रार आ न सकेगा
तुम पास नहीं दिल को ये बहला न सकेगा

तस्वीर निगाहों में ख़ामोश तुम्हारी
जो सुन नहीं सकती कभी फ़रियाद हमारी
ये खाली तसव्वुर किसी काम आ न सकेगा
तुम पास नहीं दिल को ये बहला न सकेगा
आ आऽऽऽ नज़रों में समाने...

आयेगा ख़याल आके
ओह ओह ओह
आयेगा ख़याल आके गुज़रता ही रहेगा
आहें कोई दिल थाम के भरता ही रहेगा
तस्कीन की सूरत कोई बतला न सकेगा
तुम पास नहीं दिल को ये बहला न सकेगा
आ आऽऽऽ नज़रों में समाने...

टकरायेंगे हम सर कभी दीवार से दर से
हर साँस में उबलेगा लहू ज़ख़्म-ए-जिगर से
दिल ढूँधेगा
आ आ आ
दिल ढूँधेगा तड़पेगा तुम्हें पा न सकेगा
तुम पास नहीं दिल को ये बहला न सकेगा
आ आऽऽऽ नज़रों में समाने...

ā ā ā''''''''
nazroṅ meṅ samāne se qarār ā na sakegā
tum pās nahīṅ dil ko ye bahlā na sakegā

tasvīr nigāhoṅ meṅ khāmośh tumhārī
jo sun nahīṅ saktī kabhī fariyād hamārī
ye khālī tasavvur kisī kām ā na sakegā
tum pās nahīṅ dil ko ye bahlā na sakegā
ā ā''' nazroṅ meṅ samāne...

āyegā khayāl āke
oh oh oh
āyegā khayāl āke guzartā hī rahegā
āheṅ koī dil thām ke bhartā hī rahegā
taskīn kī sūrat koī batlā na sakegā
tum pās nahīṅ dil ko ye bahlā na sakegā
ā ā''' nazroṅ meṅ samāne...

ṭakrāyeṅge ham sar kabhī dīvār se dar se
har sāṇs meṅ ublegā lahū zakhm-e-jigar se
dil ḍhūṇdhegā
ā ā ā
dil ḍhūṇdhegā taṛpegā tumheṅ pā na sakegā
tum pās nahīṅ dil ko ye bahlā na sakegā
ā ā''' nazroṅ meṅ samāne...