Nazar bachaakar chale gaye vo

नज़र बचाकर चले गये वो
Year
Language

नज़र बचाकर चले गये वो वर्ना घायल कर देता
दिल से दिल टकरा जाता तो दिल में अग्नि भर देता
वर्ना घायल कर देता

मिलती आँख तो वो भी देखते मेरे प्यार का जादू
अपने रंग में हम भी कम ना थे कर देते बेकाबू

गर वो ठहरते मेरे सामने दिल पे तीर चल जाते
वो हसीन है, मैं जवान हूँ, सारे भेद खुल जाते

हम से कब तलक़ यूँ छुपेंगे वो अपनी शान दिखलाके
एक रोज तो आ ही जाएँगे मेरे पास शरमाके

nazar bachākar chale gaye vo varnā ghāyal kar detā
dil se dil ṭakrā jātā to dil meṅ agni bhar detā
varnā ghāyal kar detā

miltī āṇkh to vo bhī dekhte mere pyār kā jādū
apne raṅg meṅ ham bhī kam nā the kar dete bekābū

gar vo ṭhaharte mere sāmne dil pe tīr chal jāte
vo hasīn hai, maiṅ javān hūṇ, sāre bhed khul jāte

ham se kab talaq yūṇ chhupeṅge vo apnī śhān dikhlāke
ek roj to ā hī jāeṇge mere pās śharmāke