नज़र बचा कर चले गये वो वरना घायल कर देता
नज़र बचा कर चले गये वो वरना घायल कर देता
दिल से दिल टकरा जाता तो दिल में अग्नि भर देता
वरना घायल कर देता
नज़र बचा कर …
( मिलती आँख तो वो भी देखते मेरे प्यार का जादू
अपने रंग में हम भी कम न थे कर देते बेक़ाबू ) -2
नज़र बचा कर …
( अगर ठहरते मेरे सामने दिल पे तीर चल जाते
वो हसीन हैं मैं जवान हूँ सारे भेद खुल जाते ) -2
नज़र बचा कर …
( हमसे कब तक यूँ छुपेंगे वो अपनी शान दिखला के
एक रोज़ तो आ ही जाएँगे वो मेरे पास शरमा के ) -2
नज़र बचा कर …
nazar bachā kar chale gaye vo varnā ghāyal kar detā
dil se dil ṭakrā jātā to dil meṅ agni bhar detā
varnā ghāyal kar detā
nazar bachā kar …
( miltī āṇkh to vo bhī dekhte mere pyār kā jādū
apne raṅg meṅ ham bhī kam na the kar dete beqābū ) -2
nazar bachā kar …
( agar ṭhaharte mere sāmne dil pe tīr chal jāte
vo hasīn haiṅ maiṅ javān hūṇ sāre bhed khul jāte ) -2
nazar bachā kar …
( hamse kab tak yūṇ chhupeṅge vo apnī śhān dikhlā ke
ek roz to ā hī jāeṇge vo mere pās śharmā ke ) -2
nazar bachā kar …