नैन मिलाकर चैन चुराना किसका है ये काम्
नैन मिलाकर चैन चुराना किसका है ये काम -2
हमसे पूछो हमको पता है उस ज़ालिम का नाम -2
नैन मिलाकर चैन …
वो आया तो खो गई ये सारी महफ़िल
देखा इस अन्दाज़ से सब खो बैठे दिल
थोड़ा सा वो मेहरबाँ थोड़ा सा क़ातिल
वो जिसकी हर एक अदा पर लाखों हैं इल्ज़ाम
हमसे पूछो हमको …
किसका ग़ुस्सा है भला जिसपे आए प्यार
ऐसा दुश्मन हाय रे जिसको समझे यार
सोचो तो वह कौन है शर्मीला दिलदार -2
जिसकी मस्त नशीली नज़रें ऐसी जैसे जाम -2
हमसे पूछो हमको …
जागी-जागी सी ज़रा कुछ सोई-सोई -2
आँखें भी उस शोख की हैं खोई-खोई -2
शोला है वो फूल है या सपना कोई -2
जिसकी ख़ातिर कोई भी हो सकता है बदनाम
हमसे पूछो हमको …
nain milākar chain churānā kiskā hai ye kām -2
hamse pūchho hamko patā hai us zālim kā nām -2
nain milākar chain …
vo āyā to kho gaī ye sārī mahafil
dekhā is andāz se sab kho baiṭhe dil
thoṛā sā vo meharbāṇ thoṛā sā qātil
vo jiskī har ek adā par lākhoṅ haiṅ ilzām
hamse pūchho hamko …
kiskā ġhussā hai bhalā jispe āe pyār
aisā duśhman hāy re jisko samjhe yār
socho to vah kaun hai śharmīlā dildār -2
jiskī mast naśhīlī nazreṅ aisī jaise jām -2
hamse pūchho hamko …
jāgī-jāgī sī zarā kuchh soī-soī -2
āṇkheṅ bhī us śhokh kī haiṅ khoī-khoī -2
śholā hai vo phūl hai yā sapnā koī -2
jiskī khātir koī bhī ho saktā hai badnām
hamse pūchho hamko …