नदिया से दरिया दरिया से सागर सागर से गहरा जाम्
नदिया से दरिया, दरिया से सागर
सागर से गहरा जाम (2)
हो हो हो जाम में डूब गयी यारों मेरे, जीवन की हर शाम (2)
नदिया से दरिया …
जो ना पिये वो क्या जाने, पीते है क्यों हम दीवाने यार अहा
जब से हमने पीना सीखा, जीना सीखा मरना सीखा यार अहा
ओ हम जब यूँ नशे में डगमगाने लग गये
हो हो हो दिल की बेचैनी को आया थोड़ा सा आराम
नदिया से दरिया …
मेरा क्या मैं ग़म का मारा, नशे में आलम है सारा यार अहा
किसी को दौलत का नशा, कहीं मुहब्बत का नशा यार अहा
ओ कहकर ऐ शराबी सब पुकारें अब मुझे
हो हो हो और कोई था ये तो नहीं था पहले मेरा नाम
नदिया से दरिया …
nadiyā se dariyā, dariyā se sāgar
sāgar se gahrā jām (2)
ho ho ho jām meṅ ḍūb gayī yāroṅ mere, jīvan kī har śhām (2)
nadiyā se dariyā …
jo nā piye vo kyā jāne, pīte hai kyoṅ ham dīvāne yār ahā
jab se hamne pīnā sīkhā, jīnā sīkhā marnā sīkhā yār ahā
o ham jab yūṇ naśhe meṅ ḍagamgāne lag gaye
ho ho ho dil kī bechainī ko āyā thoṛā sā ārām
nadiyā se dariyā …
merā kyā maiṅ ġham kā mārā, naśhe meṅ ālam hai sārā yār ahā
kisī ko daulat kā naśhā, kahīṅ muhabbat kā naśhā yār ahā
o kahkar ai śharābī sab pukāreṅ ab mujhe
ho ho ho aur koī thā ye to nahīṅ thā pahle merā nām
nadiyā se dariyā …