Nadiyaa men uthaa hai shor ... nadee kinaare ... shaam suhaanee aaee

नदिया में उठा है शोर ... नदी किनारे ... शाम सुहानी आई
Work
Year
Language

को: झिंगोड़ा, झिंगोड़ा, झिंग झो लाई
हइ हो रब्बा हइ हो

र: नदिया में उठा है शोर
छाई है घटा घनघोर
जाना दूर है

श: हा
नदी किनारे, साथ हमारे, शाम सुहानी आई
चाँद के रथ पर बैठ के झिल-मिल -2
राथ की रानी आई
शाम सुहानी आई

त: आ ह ह हा
नये ज़माने, नये तराने, ले के जवानी आई
सुन-सुन जिसको नाच उठे दिल -2
ऐसी कहानी लाई
शाम सुहानी आई

को: झिंगोड़ा, झिंगोड़ा, झिंग झो लाई
हइ हो रब्बा हइ हो -4

र: नदिया में उठा है शोर
छाई है घटा घनघोर
जाना दूर है

श: ओ
धरती पर आकाश है जब तक
हो
दिल का नगर आबाद रहेगा
त: ढलता सूरज धूप सुनहरी
आज का मौसम याद रहेगा -2
श: रुत ये रंगीली प्यार की साजन -2
बन के निशानी आई
शाम सुहानी आई

दो: नदी किनारे, साथ हमारे, शाम सुहानी आई

त: आ

ko: jhiṅgoṛā, jhiṅgoṛā, jhiṅg jho lāī
hai ho rabbā hai ho

ra: nadiyā meṅ uṭhā hai śhor
chhāī hai ghaṭā ghanghor
jānā dūr hai

śha: hā
nadī kināre, sāth hamāre, śhām suhānī āī
chāṇd ke rath par baiṭh ke jhil-mil -2
rāth kī rānī āī
śhām suhānī āī

ta: ā ha ha hā
naye zamāne, naye tarāne, le ke javānī āī
sun-sun jisko nāch uṭhe dil -2
aisī kahānī lāī
śhām suhānī āī

ko: jhiṅgoṛā, jhiṅgoṛā, jhiṅg jho lāī
hai ho rabbā hai ho -4

ra: nadiyā meṅ uṭhā hai śhor
chhāī hai ghaṭā ghanghor
jānā dūr hai

śha: o
dhartī par ākāśh hai jab tak
ho
dil kā nagar ābād rahegā
ta: ḍhaltā sūraj dhūp sunahrī
āj kā mausam yād rahegā -2
śha: rut ye raṅgīlī pyār kī sājan -2
ban ke niśhānī āī
śhām suhānī āī

do: nadī kināre, sāth hamāre, śhām suhānī āī

ta: ā