Naaree kuchh aisan aage nikal rahee hai

नारी कुछ ऐसन आगे निकल रही है
Work
Year
Language

नारी कुछ ऐसन आगे निकल रही है
मर्दन के पाँव तले धरती फिसल रही है

वो दिन गए कि घर के चूल्हे मां सर खपाया
एक पैर अब ज़मीं पर एक चाँद पर जमाया
बदली है जब से औरत दुनिया बदल रही है
मर्दन के पाँव तले …

मर्दन को दे के पेनशन लड़ती है अब इलेकशन
कहते थे जिसको सिस्टर अब हुई मिनिस्टर
मर्दन की मोमबत्ती टप-टप पिघल रही है
मर्दन के पाँव तले …

चाबी का छल्ला खोला आँचल से नारियों ने
बन्दूक भी उठा ली अब फ़ौजी नारियों ने
हर देश औरतन की पल्टन निकल रही है
मर्दन के पाँव तले …

nārī kuchh aisan āge nikal rahī hai
mardan ke pāṇv tale dhartī phisal rahī hai

vo din gae ki ghar ke chūlhe māṅ sar khapāyā
ek pair ab zamīṅ par ek chāṇd par jamāyā
badlī hai jab se aurat duniyā badal rahī hai
mardan ke pāṇv tale …

mardan ko de ke penaśhan laṛtī hai ab ilekaśhan
kahte the jisko sisṭar ab huī minisṭar
mardan kī mombattī ṭap-ṭap pighal rahī hai
mardan ke pāṇv tale …

chābī kā chhallā kholā āṇchal se nāriyoṅ ne
bandūk bhī uṭhā lī ab faujī nāriyoṅ ne
har deśh aurtan kī palṭan nikal rahī hai
mardan ke pāṇv tale …