Naa koee dil men samaayaa naa koee pahloo men

ना कोई दिल में समाया ना कोई पहलू में
Year
Language

ना कोई दिल में समाया ना कोई पहलू में आया
जा के भी पास रहीं तुम ही
और जान-ए-जाँ जान-ए-मन
जानती हो
ना कोई दिल में …

क्‌यों तुमने दामन चुराया तुम जानों मैं क्‌या बताऊँ
मुझमें ही कुछ ऐब होगा क्‌यों तुम पे तोहमत लगाऊँ
मैं तो यहीं कहूँगा पूछोगी जब भी
जा के भी पास …

तुम जो मुझे दे गई हो इक ख़ूबसूरत निशानी
लिपटा के सीने से उसको कट जाएगी ज़िन्दगानी
मैं तो यहीं कहूँगा पूछोगी जब भी
जा के भी पास …

nā koī dil meṅ samāyā nā koī pahlū meṅ āyā
jā ke bhī pās rahīṅ tum hī
aur jān-e-jāṇ jān-e-man
jāntī ho
nā koī dil meṅ …

k‌yoṅ tumne dāman churāyā tum jānoṅ maiṅ k‌yā batāūṇ
mujhmeṅ hī kuchh aib hogā k‌yoṅ tum pe tohmat lagāūṇ
maiṅ to yahīṅ kahūṇgā pūchhogī jab bhī
jā ke bhī pās …

tum jo mujhe de gaī ho ik khūbsūrat niśhānī
lipṭā ke sīne se usko kaṭ jāegī zindgānī
maiṅ to yahīṅ kahūṇgā pūchhogī jab bhī
jā ke bhī pās …