Naa chhedo kal ke aphsaane, kare is raat kee baate

ना छेडो कल के अफसाने, करे इस रात की बाते
Year
Language

ना छेड़ो कल के अफ़साने, करो इस रात की बातें
छलकने दो ये पैमाने, करो इस रात की बातें

ना फिर ये रात आयेगी, ना दिल उछलेगा सीने में
ना होगी रंग पे महफ़िल, ना ऐसा रंग जीने में
मिलेंगे कब ये दीवाने, करो इस रात की बातें

हर एक दिन कल का झगड़ा है, हर एक दिन कल का है रोना
ये घड़ीयां रात की तुम भी, ना औरों की तरह खोना
जो कल होगा खुदा जाने, करो इस रात की बातें

करो वो बात जिससे बोझ दिल का दूर हो जाये
करो वो ज़िक्र जिससे बेकसी काफूर हो जाये
मिले हैं दिल को बहलाने, करो इस रात की बातें

nā chheṛo kal ke afsāne, karo is rāt kī bāteṅ
chhalakne do ye paimāne, karo is rāt kī bāteṅ

nā phir ye rāt āyegī, nā dil uchhlegā sīne meṅ
nā hogī raṅg pe mahafil, nā aisā raṅg jīne meṅ
mileṅge kab ye dīvāne, karo is rāt kī bāteṅ

har ek din kal kā jhagaṛā hai, har ek din kal kā hai ronā
ye ghaṛīyāṅ rāt kī tum bhī, nā auroṅ kī tarah khonā
jo kal hogā khudā jāne, karo is rāt kī bāteṅ

karo vo bāt jisse bojh dil kā dūr ho jāye
karo vo zikr jisse beksī kāphūr ho jāye
mile haiṅ dil ko bahlāne, karo is rāt kī bāteṅ