Na munh chhupaa ke jiyo

न मुँह छुपा के जियो
Work
Year
Language

न मुँह छुपा के जियो और न सर झुका के जियो
ग़मों का दौर भी आये तो मुस्कुरा के जियो
न मुँह छुपा के जियो और न सर झुका के जियो

घटा में छुपके सितारे फ़ना नहीं होते
अँधेरी रात में दिये जला के चलो
न मुँह छुपा के जियो और न सर झुका के जियो

ये ज़िंदगी किसी मंज़िल पे रुक नहीं सकती
हर इक मक़ाम पे क़दम बढ़ा के चलो
न मुँह छुपा के जियो और न सर झुका के जियो

na muṇh chhupā ke jiyo aur na sar jhukā ke jiyo
ġhamoṅ kā daur bhī āye to muskurā ke jiyo
na muṇh chhupā ke jiyo aur na sar jhukā ke jiyo

ghaṭā meṅ chhupke sitāre fanā nahīṅ hote
aṇdherī rāt meṅ diye jalā ke chalo
na muṇh chhupā ke jiyo aur na sar jhukā ke jiyo

ye ziṅdgī kisī maṅzil pe ruk nahīṅ saktī
har ik maqām pe qadam baṛhā ke chalo