Na miltaa gham to barbaadee ke afsaane kahaan jaate

न मिलता ग़म तो बरबादी के अफ़साने कहाँ जाते
Work
Year
Language

हो, तमन्ना लुट गई फिर भी तेरे दम से मोहब्बत है
मुबारक ग़ैर को ख़ुशियाँ मुझे, ग़म से मोहब्बत है

न मिलता ग़म तो बरबादी के अफ़साने कहाँ जाते
अगर दुनिया चमन होती, तो वीराने कहाँ जाते

चलो अच्छा हुआ अपनों में कोई ग़ैर तो निकला
जी, कोई ग़ैर तो निकला
अगर होते सभी अपने, तो बेगाने कहाँ जाते

दुआएं दो मोहब्बत हमने मिटकर तुमको सिखलादी
मोहब्बत तुमको सिखलादी
न जलते शमा में तो पर्वाने कहाँ जाते

तुम्हीं ने ग़म की दौलत दी बड़ा अहसान फ़र्माया,
बड़ा अहसान फ़र्माया
ज़माने भर के आगे हाथ फैलाने कहाँ जाते

ho, tamannā luṭ gaī phir bhī tere dam se mohabbat hai
mubārak ġhair ko khuśhiyāṇ mujhe, ġham se mohabbat hai

na miltā ġham to barbādī ke afsāne kahāṇ jāte
agar duniyā chaman hotī, to vīrāne kahāṇ jāte

chalo achchhā huā apnoṅ meṅ koī ġhair to niklā
jī, koī ġhair to niklā
agar hote sabhī apne, to begāne kahāṇ jāte

duāeṅ do mohabbat hamne miṭkar tumko sikhlādī
mohabbat tumko sikhlādī
na jalte śhamā meṅ to parvāne kahāṇ jāte

tumhīṅ ne ġham kī daulat dī baṛā ahsān farmāyā,
baṛā ahsān farmāyā
zamāne bhar ke āge hāth phailāne kahāṇ jāte