Na main bhagvaan hoon na main shaitaan hoon

न मैं भगवान हूँ न मैं शैतान हूँ
Year
Language

न मैं भगवान हूँ न मैं शैतान हूँ
दुनिया जो चाहे समझे मैं तो इनसान हूँ

मुझ में भलाई भी मुझ में बुराई भी
लाखों हैं मैल दिल में थोड़ी सफ़ाई भी
थोड़ा सा नेक हूँ थोड़ा बेईमान हूँ
दुनिया जो चाहे समझे मैं तो इनसान हूँ

न कोई राज है न सर पर ताज है
फिर भी हमारे दम से धरती की लाज है
तन का ग़रीब हूँ मन का धनवान हूँ
दुनिया जो चाहे समझे मैं तो इनसान हूँ

जीवन का गीत है सुर में न ताल में
उलझी है सारी दुनिया रोटी के जाल में
कैसा अँधेर है मैं भी हैरान हूँ
दुनिया जो चाहे समझे मैं तो इनसान हूँ

na maiṅ bhagvān hūṇ na maiṅ śhaitān hūṇ
duniyā jo chāhe samjhe maiṅ to insān hūṇ

mujh meṅ bhalāī bhī mujh meṅ burāī bhī
lākhoṅ haiṅ mail dil meṅ thoṛī safāī bhī
thoṛā sā nek hūṇ thoṛā beīmān hūṇ
duniyā jo chāhe samjhe maiṅ to insān hūṇ

na koī rāj hai na sar par tāj hai
phir bhī hamāre dam se dhartī kī lāj hai
tan kā ġharīb hūṇ man kā dhanvān hūṇ
duniyā jo chāhe samjhe maiṅ to insān hūṇ

jīvan kā gīt hai sur meṅ na tāl meṅ
uljhī hai sārī duniyā roṭī ke jāl meṅ
kaisā aṇdher hai maiṅ bhī hairān hūṇ
duniyā jo chāhe samjhe maiṅ to insān hūṇ